KYUN LYRICS – Talha Anjum, Annural Khalid

Tu aaya nahi kyun?

Sadiyo se lambe hain lamhe yahan kya karu?

Aahat pe teri mein neend se bhi uth padu

Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu

Phir tere sirhane mein baarish mein bheega karu

Mil ke bhi tu na mera

Hai na yaqeen ab tera

Yaadon mein khoya hai dil ye

Roya hai tujh ko dhoonda tha bewajah

Jaane ye aalam hai kesa

Aayega kese savera

Tanhai aisi hai mujh se kehti ye

Tujh ko phir se loon bula

Tu na jaane tere bin mein

Kese pal hain ye guzaare

I mean I’m sorry for the heartbreak

You know we never should’ve parted

(wish we could) go back to the better days

Tere haath mein ho haath and I’m feelin great,

Per hain alag saare raaste

Ghalti na ye meri na ye teri hai

Tu aaya nahi kyun?

Sadiyo se lambe hain lamhe yahan kya karu?

Aahat pe teri mein neend se bhi uth padu

Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu

Phir tere sirhane mein baarish mein bheega karu

It’s been a while, tum waqt ke na qaayal

Dil ki dewaaro ko deemak ki tarah fikar teri khaye

That wasn’t a goodbye tum phir bhi na laut ke aayi

Qalam uthayi phir maine aur likhi jo humne bitaayi

Tere se pehle bhi tha kuch, tere baad bhi hu

Tere saath tha jo wo dafan kar chuka apni zaat mein hu

Ek laash hai bas, thodi si yaad hai bas

Ek aadha qissa hai jisme dete hai teri misaalein bas

Malaal hai bas, tu aaya nahi kyun,

Main to aaya tha sun’ne wo geet tera tune gaya nahi kyun?

Khushi mein shamil raho meri main gham mein bulata nahi hu

Main maaf kardeta hu lekin main kabhi bhulata nahi hu

Khuda ne leke bhi, aur deke bhi kiya imtihaan mera

Main to sab kehke bhi, na kehke bhi jaana bezubaan raha

Sab to luta aaye, yaad hi teri mera samaan raha

Sadiyaan guzari ke nai tere intezaar mein tu ye bata

Tu aaya nahi kyun?

Sadiyo se lambe hain lamhe yahan kya karu?

Aahat pe teri mein neend se bhi uth padu

Sab kuch bhula kar mein yaadein samaita karu

Phir tere sirhane mein baarish mein bheega karu

#KYUN #LYRICS #Talha #Anjum #Annural #Khalid

pa_INਪੰਜਾਬੀ